Kitna achha hota ki pyar ki koi had nahi hoti
Do dilo ke bich me , koi sarhad nahi hoti
Aap karte mere rashmo riwazo ki kadar
Hum samjhte aapke wade kasmo ki ahmiyat
Fir bich me koi zaddo zahad nahi hoti
Do dilo ke bich me , koi sarhad nahi hoti
Kitna achha hota ki pyar ki koi had nahi hoti
Kitna achha hota ke hum apki wafa ko jaan pate
Aap humare mazhub ko pahchan pate
Fir apni ye bagawat nahi hoti